Youtube se paise kaise kamaye..

 Hello friends’ mytricksdot mai aapka swagat hai. Friends’ yaha par aap technology aur education se related jankariya bahut hi simple way mai jaan sakenge. Aur friends’ aaj mai aapke liye ek bahut hi acha topic laker aaya hu, aaj mai aapko bataunga ki YouTube par video banakar aap kaise aur kitne paise Kama sakte hai ya Youtube se paise kaise kamaye.

FACEBOOK KA DATA KAISE DOWNLOAD KARE



earn money online



To friends youtube online earning ka ek bahut acha platform hai jaha par bahut paise kama sakte hai. Kuki present time mai jab se jio aaya hai tab se logo ne articals parhne kam kr diya hai aur youtube par video dekhna jada kar diya hai. Iska main karan ye hai ki jab tak jio ni aaya tha tab tak sab sochte the ki agar youtube kholenge to ek video dekhne par 10 se 50 mb tak ya use bi jada 5 ya 10 minut m khatm ho jayega. Isliye logo ko jo bhi jankari chahiye hoti thi wo log google par search kar k post par parh liya karte the, lakin jio ne jab se apna unlimited offer shuru kiya hai tab se saari telecom companiyo ne bhi apna net bahut hi saste price mai kar diya hai. Ab jab bhi logo ko koi jankari chahiye hoti hai ya koi nayi bolliwood video dekhni hoti hai ya funny video dekhni hoti hai to wo sabse pahle youtube par hi dekhta hai.

GOOGLE SE KISI KI BHI PURI JANKARI KAISE PAATE RAHE




how to earn money



Youtube par channel kaise banaye..


 To ab mai aapko batata hu ki aap apni video banakar Youtube se paise kaise kamaye. Youtube par channel banana bahut hi simple hai. Agar aapko youtube par channel banana hai to aapke pas apni gmail id honi chahiye. Kuki youtube ek google ki hi site hai isliye aap apne gmail account se hi youtube par login kar payenge. Login ke liye aap jab youtube kholenge to uske left side mai upar ki or sign in ka option aayega wahi se aapko login karna hai.Yaha aapko gmail id aur password daalna hai. Uske baad sign in par click kar de. Jab aap isme sign in ho jayenge to ab aapka kaam khatm ho jayega, ab aapke username ke name se hi aapka channel ban jayega. Aap baad mai apne channel ka name change bhi kar sakte hai.


AAPKA FACEBOOK HACK HAI YA NAHI YE KAISE PATA KARE


Video upload karke paise kamaye..


Channel banne ke baad aap apni videos us par upload kar sakte hai. Ab mai aapko bataunga ki video se aap paise kaise kamayenge. To iske liye aapko thori mehnat karni parega. Kuki paise kamana hai to kuch kaam to karna hi parega. Sabse pahle aap apne channel par videos daalte rahiye. Aur apne subscriber aur views ko badhaiye. Iske liye aap social sites jaise ki facebook, whatsapp par apne friends ko apni video ka link bhej kar unse dekhne ko boliye aur unse apna channel bhi subscribe karne ko kahiye. Jab aapke channel par jada views aur subscriber ho jaye to aapko apne youtube account par jana hai. Waha par aapko google adsense dikhai dega, aapko uspar account banana hai.( Aur ye dhyan rakhiyega ki agar aapke channel par bahut kam view aate hai to aap google adsense ke liye apply mat kijiyega, warna aapna account approve ni hoga). To jab aap google adsense ke liye apply kar denge to 2 ya 3 din mai (ya use jada bhi lag sakte hai ) aapke gamil account par adsense ki taraf se ek mail aayega jisme jikha hoga ki aapka account approve ho gaya hai aur tab aapse wo aapka account number maangega. Aapko sab kuch likh kar submit kar dena hai. Fir aap earning kar sakte hai.


KISI KA BHI PASSWORD KAISE PATA KARE


Earning kaise hogi..


To google adsense ke approve hone ke baad google aapke videos par ads daalega aur jab bhi koi us ad par click karega tab aapki earning hogi. Lakin google adsense se approval milna koi aasan kaam ni hai, iske liye aapko apne chaanel par thori mehnat to karni paregi. Aur aapko achi achi videos daalni hongi. Agar aap kisi aur ki video daalenge to youtube aapke channel ko block kar sakta hai. Isliye aap apni khud ki video banaiye. Aur jis chij mai aap expert ho aap us chij ki video bana sakte hai, jaise ki technology , craft , editing , cooking , education etc. Yaha par aap kisi bhi tarah ki video daal sakte hai. Aur aap youtube ke terms aur condition ko ache se parh le taaki baad mai aap aisa kuch na kar de ki Jisse aapka account block ho jaye.

FREE MI NET KAISE CHALAYE..


 Youtube se kitna paisa kama sakte hai


Ab mai aapko bataunga ki aap youtube se kitne paise kama sakte hai, to ye koi fix ni hai ki aapko ek click par kitna paisa milega. Aur aapko waha se paise rupees mai ni balki doller mai milenge. Aur jab aap ke youtube account mai 100 doller ho jayenge to aap ise apne bank account mai transfer kar sakte hai. Aur yaha aapko bank account daalne se koi risk ni rahta hai, aap yaha par rust ke sath apna account number daal sakte hai.


EK SIM MAI DO NUMBER KAISE CHALAYE..


Ek click par kitne paise milenge..


 Ab mai aap ko bataunga ki ek ad par click ak kitna paisa milta hai. To sabse aphle jaan lijiye ki ek click ka koi fix value ni ho sakti. Kisi click ke aapko 0.01 doller aur kisi ke aapko 5 se 10 doller ya use jada bhi mil sakte hai. Aur aap jante honge ki ek doller ab lagbhag 71 rupees ke barabar ho gaya hai to matlab ki yaha se aap achi khasi online income kar sakte hai. Aur ad par click ka paisa CPC se fix hota hai. CPC ka matlab hota hai cost per click. To agar aapke ad par koi American ya other country ka person click karta hai to aapko uske aur jada paise milenge. To is tarah aap youtube se paise kama sakte hai. Aur isme kamane ki koi limit ni hai,aaj youtube par kitne log laakho ki income kar rahe hai. Aur youtube se famous bhi ho rahe hai. aap isse itna kama sakte hai ki aapko kabhi job karne ki jarrorat bhi ni parega. Par iske liye aapko bhi thori mehnat karni parega.

MOBILE ME SOFTWARE KAISE DALE


Agar ye post Youtube se paise kaise kamaye aapko pasand aaya ho niche comment box mai jaroor comment kare. Aur apne friends ko bhi post share kare.
 THANKYOU…

No comments

Friends aapko hamara post kaisa laga, ye hame jaroor comment kar ke bataye. Comment karne ke liye, thankyou...